11/07/2026
Maqtal taho bala tha kisi Maa ki fughaN se
Ai HasliyoN wale teri Maa jaati hai jaaN se
Maqtal taho bala tha kisi Maa ki fughaN se
Sar nangeN hooN dekho Meri kismat ki garani
Jaago Ali Asghar mere Asghar zara jago
Jaago mere Masoom Pisar khwaab e garaN se
Maqtal taho bala tha kisi Maa ki fughaN se
Aise kisi basti meiN basera nahiN achcha
Jaago Ali Asghar mere Asghar zara jago
Do boond nahiN milti jahan aab e rawaN se
Maqtal taho bala tha kisi Maa ki fughaN se
Qatil teri turbat ka nishaN dhoond raheN haiN
Jaago Ali Asghar mere Asghar zara jago
Chalni hua jaata hai jigar Maa ka sina se
Maqtal taho bala tha kisi Maa ki fughaN se
Is Dasht e balakhez meiN zulamat ka hai deira
Jaago Ali Asghar mere Asghar zara jago
Aao ke chale jayen kahin door yahaN se
Maqtal taho bala tha kisi Maa ki fughaN se
Aalam* yehi ro ro ke bayaN karti thiN Baano
Jaago Ali Asghar mere Asghar zara jago
Beta mera lauta do to main jaaoN yahaN se
Maqtal taho bala tha kisi Maa ki fughaN se