Subbat alayya masaib o anna haar
03/11/2025
Subbat alayya Haye zehra ..2
Subbat alayya masaib o anna haar,
Subbat ala layya me sir na le ya le yaa ,....
1.Baba tumhare baad padhi jo musibate ,
Din par agar wo padhti badal jaata raat me ,
Hadh darjah dard naak hai ,Batil ki sazishe ..
humpar musibato ke falak ko gira dia......
2.Baba tumhare baad ye ummat ne ki dagaa,
Phelu pe mere jalta hua dar gira dia,
Mohsin shaheed hogaya haaye musibata...
Aur zaalimo ne haaqqe ali gazb karliaa........
3.Baba abul hasan ke gale me rasan bandi,
Ummat se aapki hume ummid ye naa thi..
Pabandiya hai aap par rou naa mai kabhi ..
afsos ahlebait pe kya waqt aagaya......
4.Ro ro ke sayyada ne payember se ye kaha,
Baade wafat bhi me gamo me hu mubtila,
Zarbat lagi ali ke hasan ka jigar kata..
baba mere hussain pe hoti hai ab zafaa .......
5.Bacche ke gam me chodhke jannat ko aagayi,
Baalo apne saaf ki maqtal ki sar zamee,
Khaimo ke aas paas wo girya kunaa rahi,
Kehti thi mere laal ko ghere hai ashkiya ... ....
6.Baccho ko apne pyaas se behaal dekhkar,
Tadhpi thi rooh hota tha zakhmi dilo jigar,
Karbobala ke dasht me sarr pit pit kar,
Roo roo ke baar baar ye kehti thi sayyada ....
7.Shaano se tere haath hue jis ghari juda,
Ek dard baazuo me bahen ki uthakiya,
Jab tere sarr pe gurz se zalim ne ki zafaa,
Sarr se giri thi zainabe dilgir ki rida......
8.Laashe pe har shaheed ke roti thi zaar zaar,
Abbas ke sarane wo jaati thi baar baar ,
Kehti thi mere laal sakina hai bekarar,
Khaima me haye tera janaza naa jaa saka........
9.Chullu me khoon leke ye kehte the shahedeen,
Asgar tere lahu ka thikana hai ye jabin ,
Inkar asmaa ko hai raazi zamee nahi,
Asgar ko pyaar karke ye kehti thi sayyada.......
10.Jis waqt sheh ne aakhri sajda adaa kia ,
Shimr laee ne zulm ka khanjar chala dia,
Zehra ne apni godh me sarr sheh ka lelia,
Sue falak uthayi nazar aur ye kaha.....
11.Fidvi khuda ne sheh ko pukaara ke aao ab ,
Ae nafse mutmaeen na tumhara hi bas lakab,
Ho jao rab se raazi ke raazi hai tumse rab ,
Utthe hussain dasht se aati rahi sada....
Haye zehra ...2
Subbat alayya masaeb o anna haar..
Subbat ala layya me sir na le ya le yaa..

