Imam Sadiq (as) - Zindagi ki qeemat ye hai ke tum ita'at karo aur na-farmani na karo
05/02/2022
Imam Sadiq (as) se ek shakhs ne kaha, "Main zindagi se ukta gaya (kantaal gaya) hoon,
main Allah se Maut ki tamanna karta hoon." Imam (as) ne farmaya,
"Zindagi ki qeemat ye hai ke tum ita'at karo aur na-farmani na karo. Lihaza,
agar tum zinda raho aur ita'at karo to ye tumhare liye Maut se behtar hai
jisme tum na to ita'at kar sakte ho aur na hi na-farmani kar sakte ho."
(Uyoon Akhbaar ar Reza, v2, p28)