24/07/2026
masoom sakina pyasi hai
ye sookhe huwe lab khusk zuban
be taab atash se nanhi si jaan
masoom sakina pyasi hai
ye tashna labi ye jalti zameen
pani ka koi imkaan nahi
nazuk se jigar se uth'ta dhuan
masoom sakina pyasi hai...
bachi ki sada pani pani
aankhon mein haram ke veerani
muztar hai phupi betaab hai maa
masoom sakina pyasi hai...
kya kooza gir kar toot gaya
ya aas ka daaman choot gaya
kya ab na chacha aayenge yahan
masoom sakina pyasi hai...
ay pathar dil behte darya
tujhko bhi taras aaya na zara
kis kaam ka tera aab e rawan
masoom sakina pyasi hai...
abbas thay itne sharminda
saahil pe ye kehke dam toda
kis moo mein bhala mai jaaun wahan
masoom sakina pyasi hai...
dil khoon huwe jaate hai magar
bachi ko tasalli de kyun kar
khud pyaas se hai sab peer o jawan
masoom sakina pyasi hai...
likhun bhi to kya likhun akhtar
larza hai qalam pani hai jigar
nauhe hai ye mere ashk e rawan
masoom sakina pyasi hai...