30/08/2026
Ya muhammad..(6)
Ya muhammad aisi izzat aapne paayi ke bas..(2)
ki shabe asraa khuda ne woh paziraai k bas
yaa muhammad
Ek pal me mustafa ko arsh par bulwaaliya..(2)
apne bande ki khuda ko aisi yaad aayi ke bas
Ginte ginte thak gayi taaro ki naazuk ungliya..(2)
mustafa ke hai zameen par itne shaydayi k bas
Maine jalti dhoop me jab chhed di naate rasool..(2)
rehmato ki har taraf aisi ghata chhayi k bas
Dekh ab bhi waqt hai daaman nabi ka thaam le..(2)
warna kal mehshar me hogi aisi ruswaai ke bas
Mushkilo.n me har ghadi naade Ali(a.s.) se kaam le ..(2)
ye duwa to roze khaibar itni kaam aai ke bas
Jab khayal aaya ilahi kaisi hogi zulfeqaar..(2)
saamne aakho ke aisi barq lehraai ke bas
Laasha-e-Salman ne Haider ko aata dekh kar..(2)
maut ki aaghosh me li aisi angdai ke bas
Ek din mai likhne baitha tha shabe hijrat kaa haal..(2)
kya kahu yaaro mujhe bhi aisi neend aai k bas
Mol li khaliq ne jannat ke ewaz kuch rootiya.n ..(2)
Fatema(a.s.) ke maal ki thi itni mehgaai ke bas
Un farishto ne abhi pucha hi kya tha ai saroj..(2)
daf'atan mere sirhaane se sada aayi ke bas