14/07/2021
Karbala chalo karbala chalo karbala chalo
Karbala karbala karbala karbala
Allahum razaqna ziyarat al Hussain
Karbala chalo karbala chalo karbala chalo
Karbala chalo karbala chalo karbala chalo
Lo agaya bulawa,mazloom karbala ka
Maa muntazir hai bete ke ghamkhuwar ayenge
Aakar mere Hussain per ansu bahainge
Bint e rasool takti hai tum sub ka rasta
Zehra ka laal qabar mai hasrat yeh le gaya
Akber ka qalma goyon ne pursa nahi diya
Ab sheh ko pursa dena hai karyal jawan ka
Jee bhar ke apne bhai ko Zainab na ro saki
Majlis zameen e karb o bala par na ho saki
Armaan Sayyeda mai bichane saf aza
Khanjar tale Hussain ki aahein gawah hain
Hal min mugisuna ki sadain gawah hain
Kab se hamain bulata hai zehra ka ladla
Jis khaak ne chupaya tha bint e Ali ka sar
Jis ne kafan banaya tha lashe Hussain per
Is karbala ki khaak ka karne ko shukriya
Bazoo kata ke jis jaga Abbas sogaye
Armaan ba Wafa ke jahan dafan ho gaye
Ansoo wahan girain ge pani jahan gira
Qismat se waqt aye ga jab yeh hayat mai
Tum apni betiyon ko bhi,le jana sath mai
Akber ko wo sunaigi,Sughra ka marsia
Ik saal bad bhai ka sar jis ghari mila
Abid se ro kay kehti thi yeh bint e Sayyeda
Dafnao gi mai hathon se,sar apne bhai ka
Chelum bhi apne baap ka bachi na kar saki
Roti hui wo shaam ke zindan mai mar gayi
Aye kash koi keh de Sakina se yeh zaban
Is saal arbaeen pe aesa ho ahtemam
Aye kash zairon mai ho shamil hamara naam
Aur de hamain bhi hazrat Abbas yeh sadaa
Gurbat musafiron ki musafir samajh sakain
Kese chali thi bibiyan andaza ho hamain
Ansu bahate shehr e Najaf se pyada pa
Chelum ko jaise aati hai Zainab bhi sham se
Azn e safar mile jo taqalum imam se
Har ik qadam zahoor ki karte hui dua