24/01/2026
Apni Aankhon Se tum dekh lena, muftiyon tum Zara Chalte Chalte,
rond Dalenge fatve Tumhare, yeh juloos e Aza Chalte Chalte
Kuch Kadam Hur Badha Sheh ki jaanib kuchh Kadam Sah Badhe Hur ki jaanib,
Bakhsh Di Chand Lamhon mein shah ne, hur ki sari Khata Chalte Chalte.
Talk o janjeer yah kah rahe the, Hai yajid Ab To Teri tabahi,
Jisko bimar Samjha Tha Tune, Sham Tak Aa Gaya Chalte Chalte.
Lag raha hai ki meri Lahad Mein, Koi Suraj Tulu ho raha hai,
Doston Ne Kafan Mein Rakhi Thi, Thodi Kha Ke shafa Chalte Chalte.
Mask parcham Mein Badla rahi hai, sham se ye Sada aa rahi hai,
Pyas se mera rishta na Tuta, thak gayi al qama Chalte Chalte.
Bole Asgar humak Ke Ye Ran Me, Baba Le Aaye the Sath varna,
Main Madine Mein Hota To Aata, gutniyon karbla Chalte Chalte.
Khudko Roze Ke Jab Shahar ke dekha, mera Dil fakhr Se Yeh Pukara,
Aaj Karbobala Aa Gayi Hai, Meri Man Ki Dua Chalte Chalte
Hai Ajab jasne Maula Ka Manzar, dekho jibreel bhi kah rahe hain,
Sun ke Ashaar Chandan Tumhare, ruk gaya Waqt Bhi Chalte Chalte.