Hazrat Imam Hussain (a.s.)
31/07/2022
Husain(a.s.) -3
daae.n Hasan baae.n Jari,
pusht panahi ko Nabi
sar pe khuda wande jali,
seena sipar Zehra(a.s.) Ali(a.s.)
Mere mola ko mayassar hai khazana kaisa
inka rutba hai imamo.n me shahana kaisa
kaise kaise hai naseebo.n me ujaale inke
mere aaqa ko , mila hai ye gharana kaisa
Marhaba - Marhaba Mustafa ki baat me
Ba Khuda - Ba Khuda Saari kaaenaat me
Gunj raha hai bus ek naam,
Hazrat Imam Hussain Aleyhis Salam
Lakho.n Durood aap pe laakho salam
Hazrat Imam Hussain Aleyhis Salam
Allah ne kya khoob sawara hai
Sarkaar ke Aa.ngan me utara hai
Har Qaum ki aa.nkho ka sitara hai
Hazrat Imam Hussain Aleyhis Salam
Zinda hai Husain uska hai kirdar bhi zinda
kirdar jo zinda hai to Mayar bhi zinda
Mayar jo zinda hai to afkaar bhi zinda
Afkaar jo zinda to azadar bhi zinda
Ibteda-Ibteda Mustafa(sw) ke dosh par
Inteha-Inteha Naize par baland sar
Gunj raha hai bus ek naam,
Hazrat Imam Hussain Aleyhis Salam
Qadam-Qadam Nagar-Nagar Ya Husain(as),
Dilam-Dilam Nazar-Nazar Ya Husain(as),
Sadaqato.n ki raahguzar Ya Husain(as),
Kaho-Kaho bachashm-E-tar Ya Husain(as)
Ya Husain(as), Ya Husain(as),
Ya Husain(as), Ya Husain(as)
Tareekh me is jaisa na insaan milega
Aisa na koi aashiqe rehmaan milega
Na aisa koi Shaah-EShahidaan Milega
Na aisa koi sabr ka sultan Milega
La Ilaah-La Ilaah La Ilaah ka paasba.n
Dee.n Panaah-Dee.n Panaah Mustafa(sw) Ka Tarjuma
Gunj raha hai bus ek naam,
Hazrat Imam Hussain Aleyhis Salam
Allah ne kya khoob sawara hai
Sarkaar ke Aa.ngan me utara hai
Har Qaum ki aa.nkho ka sitara hai
Hazrat Imam Hussain Aleyhis Salam
Har dil me gham-E-Sayyad-E-Abraar milega,
Har daur me mazloom ka ghamkhwar milega,
Har qaum me shabbir ka zawwar milega,
Har mulk me maula ka azadaar milega,
Har jagah Har jagah Momino.n ke darmeya.n,
Hai Sada Hai Sada dharkano.n ke darmeya.n,
Gunj raha hai bus ek naam,
Hazrat Imam Hussain Aleyhis Salam
Qadam-Qadam Nagar-Nagar Ya Husain(as),
Dilam-Dilam Nazar-Nazar Ya Husain(as),
Sadaqato.n ki raahguzar Ya Husain(as),
Kaho-Kaho bachashm-E-tar Ya Husain(as)
Ya Husain(as), Ya Husain(as),
Ya Husain(as), Ya Husain(as)
Haatho.n me Alam thame wo aata hai azadaar,
Haa.n majliso matam me hi reha hai azadaar,
Maa.n Baap Husaini ho to banta hai azadaar,
Maula ye tumhaara hai tumhaara hai azadaar
Silsila Silsila ye aza ka silsila
Rabeta Rabeta Karbala se rabeta
Gunj raha hai bus ek naam,
Hazrat Imam Hussain Aleyhis Salam
Allah ne kya khoob sawara hai
Sarkaar ke Aa.ngan me utara hai
Har Qaum ki aa.nkho ka sitara hai
Hazrat Imam Hussain Aleyhis Salam
Shabbir ka dil dekhe zara dekhe zamana
wallah kaha tha jo wohi kar ke dikhaya
khushnoodiye khaliq me bhare ghar ko lutaya
naize pa bhi aaya to usi shaan se aaya,
Badshah-Badshah hai dilo.n ka badshah
Chha gaya Chha gaya do jaha pe chha gaya
Gunj raha hai bus ek naam,
Hazrat Imam Hussain Aleyhis Salam
Qadam-Qadam Nagar-Nagar Ya Husain(as),
Dilam-Dilam Nazar-Nazar Ya Husain(as),
Sadaqato.n ki raahguzar Ya Husain(as),
Kaho-Kaho bachashm-E-tar Ya Husain(as)
Ya Husain(as), Ya Husain(as),
Ya Husain(as), Ya Husain(as)
Kis shaan se maqtal me qadam rakhta hai Shabbir(as),
Kab jaane ki parwaah kiya karta hai Shabbir(as),
Darta hai Na jhukta hai Na ghabrata hai Shabbir(as),
Lakho bhi mukhalif ho to sach kehta hai Shabbir(as),
Hausla-Hausla Shah-E-Dee.n ka hausla
Sun Sada Sun Sada do jaha ki hai sada
Gunj raha hai bus ek naam,
Hazrat Imam Hussain Aleyhis Salam
Allah ne kya khoob sawara hai
Sarkaar ke Aa.ngan me utara hai
Har Qaum ki aa.nkho ka sitara hai
Hazrat Imam Hussain Aleyhis Salam -2
Haa.n aao kare hum shahe abraar ka matam
Islam ke mohsin ka madadgaar ka matam
Asghar Ali akbar ka aor ansaar ka matam
Zainab ka Sakina ka alamdaar ka matam
Bekhata-Bekhata hai Gharib-E-Syyada,
Hai bapa Hai bapa tera gham jagah jagah,
Gunj raha hai bus ek naam,
Hazrat Imam Hussain Aleyhis Salam
daae.n Hasan baae.n Jari,
pusht panahi ko Nabi
sar pe khuda wande jali,
seena sipar Zehra(a.s.) Ali(a.s.)
Hazrat Imam, Husain(as) Husain(as)
Hazrat Imam, Husain(as) Husain(as)
Hazrat Imam, Husain(as) Husain(as)
Haye Shahe mashraqain, Ai dile Zehra ke chain
Haa.n mere maula Husain(as)
Hazrat Imam, Husain(as) Husain(as)
Hazrat Imam, Husain(as) Husain(as)
Aali Maqam, Husain(as) Husain(as)
Aali Maqam, Husain(as) Husain(as)
Tum pe Salam, Husain(as) Husain(as)
Tum pe Salam, Husain(as) Husain(as)
Hazrat Imam, Husain(as) Husain(as)
Hazrat Imam, Husain(as) Husain(as)
Hae Shahe Karbala Aapka ghar lut gaya
Wada wafa kar diya
Hazrat Imam, Husain(as) Husain(as)
Hazrat Imam, Husain(as) Husain(as)
Shah-E-Zaman, Husain(as) Husain(as)
Zakhmi Badan, Husain(as) Husain(as)
Tishna Dahan, Husain(as) Husain(as)
Hazrat Imam, Husain(as) Husain(as)
Hazrat Imam, Husain(as) Husain(as).....
Husain (a.s.)..

