Ahle Haram Mein Hai Roney Ki Dhoom
19/08/2021
Ahle Haram Mein hai Roney Ki Dhoom, Wa -Waila
Haye, Maara gaya Saiyyed Mazloom, Wa -Waila
Haye, luta hai ghar jalti hain Qanate
Roote hai jab bacche masoom, Wa-waila
Ahle Haram Mein hai Roney Ki Dhoom, Wa-Waila
Haye, Maara gaya Saiyyed Mazloom, Wa -Waila
Haye, desh Madina, Arey kahye chhode Arey Zahera bhiyo amma
Haye, baire sadawe ban-ma bulawe, Aare dil me udawe khaak
Haye, dar-dar jaye lete hain, Wa-waila
Haye, nnnnn sitamgar dete hain, Wa-waila
Koi nahi hai sar par 'mare
Ki-ko pukare yeh mazloom,
Ahle Haram Mein hai Roney Ki Dhoom, Wa -Waila
Haye, Maara gaya Saiyyed Mazloom, Wa -Waila
Haye, ek chadarwa deth na koi, Aare sharm bhare sharmaye
Haye, Chupke chupke rowat rowat, Aare haath khade banma
Haye, kahte hai Kulsoom baazon mein hai, Wa waila
Haye, Baazo-e-Zainab aur rasan, Wa waila
Haye, beti hai Zahera aur Ali Ki
Aaj yeh kaisa hai manshoor, Wa-waila
Ahle Haram Mein hai Roney Ki Dhoom, Wa -Waila
Haye, Maara gaya Saiyyed Mazloom, Wa-Waila
Haye, soye zameen par, saare barati, Arey bhiya -hu na aiyo raas
Haye, pagdi kahat hai, Arey Qasim dhoola, Arey todi hamari aas
Haye Quaid huye ek shab ki dulhan, Wa -waila
Haye, lut gaya kangna, bandhi rasan, Wa -waila
Haye, rooti hai Zanab khaak uda kar
Dekhte hai Umm-e-Kulsoom, Wa-waila
Ahle Haram Mein hai Roney Ki Dhoom, Wa -Waila
Haye, Maara gaya Saiyyed Mazloom, Wa -Waila
Haye, ghar par hamra arey loot machi, arey, bagdi karen faryaad
Haye, sooye sub pardes musafir, arey desh bhayu b arbaad
Haye, baccho pa koye roti hai, Wa-waila
Haye, bewa koye jaan khoti hai, Wa-waila
Haye, kehti hai Baano Asghar jaane
Kidhar tera nazuk banphool, Wa-waila
Ahle Haram Mein hai Roney Ki Dhoom, Wa -Waila
Haye, Maara gaya Saiyyed Mazloom, Wa -Waila
Haye, raat chupaye arey dukhte dil ko, arey taras na koyi khaye
Haye, dukhma satave, quaide banawe, are laakh dukhi chillaye
Haye, tauq pinhaye Aabid ko, Wa-waila
Haye, kahte hain isko chhain na do, Wa -waila
Haye, tan mein hai tap aur bediyan bhaari
Haye, quaide banaye hain mazloom, Wa-waila
Ahle Haram Mein hai Roney Ki Dhoom, Wa -Waila
Haye, Maara gaya Saiyyed Mazloom, Wa -Waila
Haye, koi na aawe, aare, koye na pooche, arey koyi na deve dars
Haye, man me juaitu aave machhaye, arey, zulm kare jallad
Haye, subko bhitaya ooton par, Wa-waila
Haye, di na kisi-ko ek chadar, Wa-waila
Haye, shyaam ka mardood raah chala hai
Le kar haram ko lashkar ko, Wa-waila
Ahle Haram Mein hai Roney Ki Dhoom, Wa -Waila
Haye, Maara gaya Saiyyed Mazloom, Wa -Waila

