18/08/2024
Haye Sakina Haye Sakina
Shimr Kehta Tha Sakina Ko Sataty Rehna
Sar Dikha Kar Isy Baba Ka Rulaty Rehna
Shimr Kehta Tha Sakina Ko Sataty Rehna
Khouf Har Waqt Nazar Aaye Mujhy Chehry Par
Is Qadar Raah Mein Bachi Ko Daraty Rehna
Shimr Kehta Tha Sakina Ko Sataty Rehna
Naaz Ab Isky Nhi Koi Uthane Wala
Ye Tamachon Se Isy Yaad Dilate Rehna
Shimr Kehta Tha Sakina Ko Sataty Rehna
Baap Ka Sar Jo Ye Mangy Tou Na Dena Isko
Dil E Masoom Ko Is Tarhan Dukhaty Rehna
Shimr Kehta Tha Sakina Ko Sataty Rehna
Ankh Mein Teer Tha Aur Hath Nhi Thy Usky
Aise Abbas Gira Zeen Se Bataty Rehna
Shimr Kehta Tha Sakina Ko Sataty Rehna
Ho Agr Piyas Ki Shidat Tou Rulany Ke Liye
Pani Dikhla Ke Sakina Ko Bahaty Rehna
Shimr Kehta Tha Sakina Ko Sataty Rehna
Jab Rasan Khichti Hai Ghutta Hai Gala Bachi Ka
Bas Yehi Sooch Ke Abid Ko Uthaty Rehna
Shimr Kehta Tha Sakina Ko Sataty Rehna
Kese Bardasht Kare Yaad Tou Ata Hai Usay
Jhoola Besheer Ka Angan Mein Jhulaty Rehna
Shimr Kehta Tha Sakina Ko Sataty Rehna
Shaam Walon Se Nazar Ro Ke Ye Zainab Ne Kaha
Ik Diya Roz Yahan Aa Ke Jalaty Rehna
Shimr Kehta Tha Sakina Ko Sataty Rehna