Dusrey muqamat ka paani sehet pe bura asar kre to kya kare
02/02/2022
Aik shaks Imam Ali Raza AS k paas aya aur kaha jab mein bahar jata hun to dusrey muqamat ka paani meri sehet pe bura asar krta hai.Imam ne mashwara dya: Apni jaga ka paani aik burtan men saath le jao aur usey khali na hone do. Jb is men thora sa paani baqi bach jaey to doosri jaga ka paani is men mila lya jaey. Is tarah tmhari jaga k paani k asraat akhir waqt tk baqi rahen gey chahey is men 50 mukhtalif muqamat ka paani kyon na milaya jaey.
---- (Tib e imam Ali Raza AS Pg 10)