Hadees-E-Rasule Khuda (saww)
04/02/2022
Rasule Khuda (saww) se ek shakhs ne kaha ke kya wajah hai ke
mujhe Maut se nafrat hai?
Aap ne farmaya, "Kya tere paas maal o daulat hai?"
Usne ne kaha, "Jee haa'n."
Aap ne farmaya, "Maal o Daulat Allah ki raah
mein kharch kar ke aage bhej de."
Usne kaha, "Main aisa nahi kar sakta."
Aap ne farmaya, "Insaan ka dil Maal o Daulat ke
saath hota hai. Agar daulat ko insaan aage
rawana kar de to wo khud bhi aage jaana
pasand karta hai, aur agar Maal o Daulat duniya
mein apne paas rakhe to uska dil duniya
chhorne par taiyar nahi hota."
(Tafseer Noor us Saqlain, v7, p145)