Hadees-E-Rasule Khuda (saww) - Insan Ka Apne Liye Maut Ki Khwahish Karna Makrooh Hai
05/02/2022
Ek baar H. Rasule Khuda (saww) ek beemar ki mizaaj pursi ke liye tashreef le gaye.
Usne (apne beemari se dil bardaashta ho kar) marne ki khwaaish zaahir ki.
Aap (saww) ne farmaya, "Maut ki khwaaish na kar, kyun ki agar tu neku-kaar hai
to mazeed zinda rehne se teri nekiyo'n mein izafa hoga aur agar tu gunaah-gaar
hai to tujhe is taakhir se Khuda ko raazi karne ka mauqa milega.
(Beher haal) Maut ki khwaaish na kiya karo".
(Wasaail ush Shia, v2, p127)