Khanjar Gale Se Chalta Hua Sir Tak A Gaya
06/08/2023
1-Gardan pe hath rakkhe hue rokti thi maa
Bete ka khoon shimr ke khanjar Tak aa gaya
2-Zainab ye ro ke kehti thi pehchan le ise
Sheeri Tera imam tere ghar Tak aa gaya
3-Maa ki Rida se hota hua naiza zulm ka
Mitti me dhoondta hua Asghar Tak aa gaya
4-jalte hue khayam me zainab ka har khayal
Ek baar phir se jalte hue dar Tak aa gaya
5-Ammu madad ko aao sakina ne ye kaha
Zalim ka hath ab mere gauhar tak a gya
6-Khaimo ko lootta hua lashkar yazid ka
Sajjade natawan ke bistar tak a gya
7.Humshakle Mustafa ke jigar tak nahi ruka
Saqlain naiza sinae Akbar tak a gya