09/07/2026
Ujda makaN hamara, Mehman ja raha hai
ShioN ka hai yeh nauha, Mehmaan jaa raha hai
Har simt hai andhera, Mehman ja raha hai
Ujda makaN hamara, Mehman ja raha hai
MayusiooN ne hum ko qaidi bana liya hai
Deewar o dar pa gham ka sannata chha raha hai
Sab ko yehi hai sadma, Mehman ja raha hai
Ujda makaN hamara, Mehman ja raha hai
AsooN baha baha kar, Farsh e aza bichaoo
Khud ro lo Shah ke gham meiN, auroN ko bhi rulaoo
Kahta hai yeh sawera, Mehmaah jaa raha hai
Ujda makaN hamara, Mehman ja raha hai
AayiN hai Fatima bhi, is rukhsat e aza meiN
AshkoN ke phool bhar do, Rumaal e Sayyeda meiN
Yeh farz hai hamara, Mehman ja raha hai
Ujda makaN hamara, Mehman ja raha hai
Duniya hamari ujjdi, Shabbir jaa raheN haiN
Ahle aza yeh nauha, apna suna raheN haiN
Ghar lag raha hai soona, Mehman ja raha hai
Ujda makaN hamara, Mehman ja raha hai
Ujde hue makaan ko, phir se basana Maula
Is gulshan e aza ko, phir se sajana Maula
Sar ko jhuka ke kahna, Mehman ja raha hai
Ujda makaN hamara, Mehman ja raha hai
Shamme aza ki Jafar*, lau tharthara rahi hai,
Ro ro ke shaam e gham yeh, Nauha suna rahi hai
Phale ga ab andhera, Mehman ja raha hai
Ujda makaN hamara, Mehman ja raha hai
___________________________________
Kalaam: Janab Jafar Saheb
Anjuman: Guldasta e Islam, Lucknow