09/07/2026
Maa ho qurbaN ho KahaN Akbar
Phir suna do zara azaN, Akbar
Maa ho qurbaN ho KahaN Akbar
Laal Zainab ke Dono qatl hue
Qasim Ibne Hasan bhi maare gaye
Sab ki khaali haiN goodiyaN Akbar
Maa ho qurbaN ho KahaN Akbar
Ashk e khooni baha rahiN haiN Rabaab
Khali jhooli jhula rahiN haiN Rabaab
So gaya rann mein bezabaN Asghar
Maa ho qurbaN ho KahaN Akbar
Khaima khaima hua hai hashr bapa
ChadareN chhen le gaye aada
Sar-barhaina haiN BibiyaN Akbar
Maa ho qurbaN ho KahaN Akbar
Mere attharaN saal ki mehnat
Jab tak aao ge tum na Noor e Nazar
Durre Khaya kare gi Maa Akbar
Maa ho qurbaN ho KahaN Akbar
Haal dekho zara Sakeena ka
Kaan ki lau se khoon hai bahta
Le gaya shimr baaliyaN Akbar
Maa ho qurbaN ho KahaN Akbar
DekhooN Zainab ki kaise tanhaiyi
Uska zinda nahiN koi Bhai
Ab to aao, Phupi ki jaan Akbar
Maa ho qurbaN ho KahaN Akbar
Ro rahi hai Sakeena samjha do
Apni Maa se gale to mil jaao
Shaam jaata hai karawaaN Akbar
Maa ho qurbaN ho KahaN Akbar
Laila kahtiN haiN ro ke yeh Mahir*
Kab talak raah dekhe Maa aakhir
Dil par girti hain bijliyaN Akbar
Maa ho qurbaN ho KahaN Akbar
__________________________
Kalaam: Janab Mahir Lucknowi Saheb
Nauhakhwan: Janab Taqi Mirza Saheb
Anjuman: Kazmia Abdia, Lucknowi