09/07/2026
Sarwar ne dam e asr yeh hasrat se pukara
Abbas Abbas Abbas!
Koi nahi is waqt Hame de jo sahara
Abbas Abbas Abbas!
Sarwar ne dam e asr yeh hasrat se pukara
Qasim haiN na ab Aun o Mohammad haiN na Asghar
Har chahne wala sue Firdaus sidhara
Abbas Abbas Abbas!
Sarwar ne dam e asr yeh hasrat se pukara
Akbar bhi Mera soota hai khaye hua barchi
Ham-par jo guzarti hai use sun lo Khudara
Abbas Abbas Abbas!
Sarwar ne dam e asr yeh hasrat se pukara
Bhaiyya Tumhe raas aa gayi dariya ki tarayi
Phukta hai jigar pyaas se ai Bhai Hamara
Abbas Abbas Abbas!
Sarwar ne dam e asr yeh hasrat se pukara
Bhaiyya Hame majboor samajh baithe haiN aada
Aabad kiya Tumne jo dariya ka kinara
Abbas Abbas Abbas!
Sarwar ne dam e asr yeh hasrat se pukara
((Dariya se zara aa ke Mera haal to poocho
Tum ko koi takleef meri thi na gawara
Abbas Abbas Abbas!
Sarwar ne dam e asr yeh hasrat se pukara))
Taaqat nahiN ab ghore pai main joom raha hoon
Majboor hooN zakhmoN se badan choor hai sara
Abbas Abbas Abbas!
Sarwar ne dam e asr yeh hasrat se pukara
Jo ho sake ghore se Hame aa ke utaro
Awaaz tumhe deta hai yeh Bhai tumhara
Abbas Abbas Abbas!
Sarwar ne dam e asr yeh hasrat se pukara
Chalne ko hai ab sookhe gale par mere khanjar
Hone ko hai maqtal meiN qayamat ka nazara
Abbas Abbas Abbas!
Sarwar ne dam e asr yeh hasrat se pukara
Chasm e karam Ejaz* par ho jayeN tumhare
Nasli wa sana kha hai woh maddaha Tumhara
Abbas Abbas Abbas!
Sarwar ne dam e asr yeh hasrat se pukara
_______________________________
Kamaam: Janab Ejaz Lucknowi Saheb
Saheb e Bayaaz: Janab Zargham Haider Saheb
Anjuman: Kazmia Abida, Lucknow