09/07/2026
Judai ka gham tujhko sahna hai Beti
Bohat kuch tujhse abhi kahna hai beti
Zara der ko aur nazdeek aaja
Illiya Illaya Sakina Sakina
Tadap kar Shah e Karbala ne pukara
Illiya Illaya Sakina Sakina
Rida sar se Zainab ke cheene ge aada
Rahe ga na khaime me Asghar ka jhoola
Basana hai jaa kar tumhe qaidkhana
Illiya Illaya Sakina Sakina
Tadap kar Shah e Karbala ne pukara
Illiya Illaya Sakina Sakina
Lahed Karbala mein hamari bane gi
Tumhe qaid khane ki mitte mile gi
Na ab saath ho ga hamara tumhara
Illiya Illaya Sakina Sakina
Tadap kar Shah e Karbala ne pukara
Illiya Illaya Sakina Sakina
Bahhattar ke daagh ek dil par uthaye
Mujhe mere baba bohat yaad aaye
Uthaya tha Ahbar ka jis dam Janaza
Illiya Illaya Sakina Sakina
Tadap kar Shah e Karbala ne pukara
Illiya Illaya Sakina Sakina
Agar apne Aamu ke laashe par jaana
To paani ka koi taqazaa na karna
Abhi thak ke soya hai bhai hamara
Illiya Illaya Sakina Sakina
Tadap kar Shah e Karbala ne pukara
Illiya Illaya Sakina Sakina
Zabaan rukh gaye guftagu karte karte
Hum ahiwaal Ishrat* bayan karte karte
Kise ne suna phir na Sarwar ka nauha
Illiya Illaya Sakina Sakina
Tadap kar Shah e Karbala ne pukara
Illiya Illaya Sakina Sakina
--> Ishrat Lucknowi