Agar jaha me ghame karbala nahi hota
27/02/2023
Shabbir hu mai Fatema Zehra(s.a.) ka pisar Hoo.na
Har chaak rida me meri bakshish ka rafoo hai
Islaam tujhe pyaas se marne nahi doonga
sookhi hui sheh rag me abhi itna lahoo hai
Agar jaha me ghame karbala nahi hota
Ghamo ka zof to hota asa nahi hota
Waha khayale Mohammad(as) me aa rahe hai Husain(as)
Jaha Khuda ke siwa doosra nahi hota.
Ban ke taskine Jigar Rooh ka chain aati hai
Jab bhi aati hai ye karti hui bain aati hai
Tum musalle pa mere khake shifa rehne doosra
Mujhko sajde me bhi khushbu-E-Husain(as) aati hai