24/06/2026
Shab ko zindaan se ye rone ki sada aati hai
Ek yateema yehi faryad kiya karti hai
Mere ammu ho kanha aye mere baba aao
Aao is qaid se ab aake chudalo mujhko
Apne seena pa phir ek baar sulalo mujhko
Mere ammu ho kanha aye mere baba aao
Apne haaton se jo pehnaye the gouhar tumne
Lashkar e shaam ne kanon se mere cheen liye
Mere ammu ho kanha aye mere baba aao
Main to ek. Pal bhi nahi soe bichadkar tumse
Hai mujhe iska yakeen tum bhi na soye honge
Mere ammu ho kanha aye mere baba aao
Baba ammu se ye keh do ke na pani laye
Waqt e akhir hai sakina se to milne aaye
Mere ammu ho kanha aye mere baba aao
Pyas ki ab na kabhi koi shikayat hogi
Baksh do meri khata mujhpar inayat hogi
Mere ammu ho kanha aye mere baba aao
Zulm itna hai ke duniya se guzar jayegi
Abna aaye to sakina teri mar jayegi
Mere ammu ho kanha aye mere baba aao