Zinda Husaini rahenge
25/02/2022
Zinda Husaini rahenge -2
Khwahish jo ki Syyada(a.s.) ne
Farmaya ye mustafa(s.a.w.w) ne
Jibril lae hai paighaam
waada kiya hai khuda ne
Zinda Husaini rahenge -2
Farzand-E-Zehra tera gham
rakkhega aankhe sada nam
rooke rukenge na aanso
har daor me hoga matam
Zinda Husaini rahenge -2
Palko.n pe jo aa gaya hai
aanso nahi karbala hai
usse na takrae duniya
ye Fatema(a.s.) Ki dua hai
Zinda Husaini rahenge -2
Sheh ke wafadaar hai hum
sun le ye ahl-e-aalam
aa jae chahe qayamat
oocha rahega ye parcham
Zinda Husaini rahenge -2
Thokar pa hai maari duniya
kab humko hai pyari duniya
kuch bhi na baqi rahega
hogi fana saari duniya
Zinda Husaini rahenge -2
Charcha hai dono jaha me
faile hai kaono maka me
hota hai bas zikre sarwar
har majlise ins-o-jan me
Zinda Husaini rahenge -2
raazi khuda hai lahu se
baqi aza.n hai lahu se
parcham pa ek bawafa ne
ye likh diya hai laho se
Zinda Husaini rahenge -2
sarwar ke jo manchale hai
unke jawa haosle hai
had karbala ta qayamat
zinda husaini rahe hai
Zinda Husaini rahenge -2
kya khof humko ajal ka
hai yaad mata shahida
hai ye hadise payambar
marke bhi NAYYAR hamesha
Zinda Husaini rahenge -2