20/06/2026
Matam kiya hai tum ne bataye gi Fatima(s.a.)
Jannat mein tum se pehle na jaye gi Fatima(s.a.)
Aey azadaron, aey wafadaron
Wada hai bakhshwane, jab aaye gi hashr mein
Ghazi ke dono bazu bhi laaye gi Fatima(s.a.)
Matam kiya hai tum ne bataye gi Fatima(s.a.)...
Aansu bahaye tum ne jo naam-e-Hussain par
Rumaal khol kar woh dikhaye gi Fatima(s.a.)
Matam kiya hai tum ne bataye gi Fatima(s.a.)..
Pyaason ko tum ne paani pilaya sabeel par
Kausar ka jaam tum ko pilaye gi Fatima(s.a.)
Matam kiya hai tum ne bataye gi Fatima(s.a.)...
Phir ashk ki nigahon se dekhen ge sab tumhein
Jab tum ko apna keh kar bulaye gi Fatima(s.a.)
Matam kiya hai tum ne bataye gi Fatima(s.a.)...
Jo betiyon ko rakhti hai chadar ke saaye mein
Un maon ko galay se lagaye gi Fatima(s.a.)
Matam kiya hai tum ne bataye gi Fatima(s.a.)...
Farsh-e-aza bichha ke bulao to aik baar
Dekho tumhare ghar mein bhi aaye gi Fatima(s.a.)
Matam kiya hai tum ne bataye gi Fatima(s.a.)...
Ro loon ge do Hussain ki ke zakhmon ka wasta
Zawar-e-Karbala ka banaye gi Fatima(s.a.)
Matam kiya hai tum ne bataye gi Fatima(s.a.)...
Majlis ka ehtimaam karo, fikr mat karo
Aaye ga bas woh jisko bulaye gi Fatima(s.a.)
Matam kiya hai tum ne bataye gi Fatima(s.a.)...
Tum ne kabhi bhulaya nahi gham-e-Hussain ka
Tum ko kabhi bhi bhool na paaye gi Fatima(s.a.)
Matam kiya hai tum ne bataye gi Fatima(s.a.)...
Zeeshan Abidi ho ya Farhan koi bhi
Har matami ki shaan sunaye gi Fatima(s.a.)
Matam kiya hai tum ne bataye gi Fatima(s.a.)...
Matam kiya hai tum ne bataye gi Fatima
Jannat mein tum se pehle na jaye gi Fatima (A.S.)