Tadfeen e Imam Hussain
15/08/2021
Ay Ronay Walo Hay Yea Gari Shor-O-Shain Ki
Tadfeen Ho Rahi Hay Imam Hussain as Ki
Kofay Say Aye Pehnay Jo Sajjad as Bediyan
Lase Hussain as Daikh Kay Ansu Huay Rawan
Hathon Ko Jodh Kar Kiya Beemar Nay Bayan
Baba as Tumhari Lash Ko Dondong Kahan Kahan
Kese Kafan Dung Lash Ko Gurbat Naseeb Hoon
Baba as Main Ajj Tum Say Ziada Ghareeb Hoon
Rokar Bani Asad Kay Qabeelay Ko Di Sada
Las Hussain as Mil Kay Ikhatta Karo Zara
Utray Laehad Main Shah Ki Beemar Karbala
Bolay Padhon Main Kis Tarah Talqeen Ya Khuda (J)
Rukh Kesay Soye Kaba Ho Zahra sa Kay Chain Ka
Sar Hi Nahi Yahan Mere Baba Hussain as Ka
Jitnay Bhi Tukray Mil Sakay Sab Chun Leay Gaye
Ahista Say Lehad Main Wo Beemar Nay Rakhay
Seenay Pay Hath Rakha Jo Betay Nay Bap Kay
Halat Pe Baba Jan as Ki Sajjad as Ro Paday
Bolay Ki Khud Bhi Is Waqat Dadi Jan sa
Toray Hain Is Tarah Mere Baba as Ki Pasliyan
Looti Hay Aesay Lash Ghareeb-ud-Diyar Ki
Godhon Say Pehlay Lash Ki Pamali Ki Gaye
Phir Kurta Aor Amama Aba Le Gaya Koi
Yea Hi Nahi Ki Sirf Anghothi Nahi Mili
Be-Ihtirami Ki Hay Youn Zahra sa Kay Chain Ki
Ungli Laeen Nay Kati Hay Baba Hussain as Ki
Teeron Say Sara Jism Hay Haye Bhara Hua
Pehlu Pay Baba Jan as Kay Hay Neeza Ghara Hua
Tera Jaghon Say Inka Gala Hay Kata Hua
Hay Tan Yahan Pay Sar Wahan Khoon Say Bhara Hua
Sar Daikh Kar Yaqeen Hay Mere Khandan Ko
Mara Patharon Say Mere Baba Jan as Ko
Badh Kar Bani-Asad Nay Yea Ik Bat Poch Li
Mola as Muaaf Kejeay Gar Ho Khata Koi
Choti Si Kia Yea Seenay Pay Shah Ki Rakhi Hui
Abid as Ki Bat Sun Kay Har Ik Maa Tarap Gaye
Bolay Yea Daikh Daikh Ki Dil Pash Pash Hay
Seenay Pay Baba Jan as Kay Asgar as Ki Lash Hay
Pocha Kisi Nay Mola as Barabar Main Kon Hay
Shabbir as Iskay Seenay Pay Kyon Hath Hain Rakhay
Lagta Hay Inko Piar Tha Is Nojawan Say
Akbar as Ka Nam Laitay Ho Sajjad as Ro Paday
Bolay Ki Hath Seenay Pay Yung Hay Rakha Hua
Hay Betay Kay Kaleejay Main Neeza Laga Hua
Aii Sada Yea Fatima Zahra sa Ki Qabr Say
Sajjad as Lout Jao Ki Baba as Ko Ro Chukay
Koofay Main Yad Karti Hay Beti Meri Tujhay
Tum To Yahan Ho Wo Bhala Awaz Kisko Day
Zainab sa Kay Dil Ko Aor Bhi Zalim Rulata Hay
Shimr (L) Laeen Behen Tamachay Lagata Hay
Sajjad as Karbala Kay Wo Manzar Ajeeb Thay
Farhan Aa Rahi Thi Yea Awaz Qabr Say
Milwa Do Beta Phir Zara Abbas as Say Mujhay
Bolo Kay Akhri Yea Meri Bat Man Lay
Abid as Pukaray Ay Dil Ehsas Ayeay
Mitti Lehad Pay Dalnay Abbas as Aaeyeay

