Mai Abutalib (a.s.) hoo.n
28/02/2022
Rooh islaam ki hai jisme mai wo qalib hoo.n
Jiska matloob Mohammad(a.s) hai mai wo talib hoo.n
kul arab par meri haibat hai mai wo ghalib hoo.n
mujhko pehchan le duniya mai Abutalib(a.s.) hoo.n
rozo shab subho masa hafiz-e-Iman mai tha
be sahara the Mohammad(a.s.) to nigehba mai tha
------------------------------------------------------
husn islam pe aaya mere ehsano se
maine imaan ko paala bade armano se
bijliya girni rahi kufr ke aiwano se
shamm-e-haq bujhne na di zulm ke tufano se
wohi karta tha jo marziye khuda wandi thi
mera imaan Mohammad(a.s.) ki razmandi thi
------------------------------------------------------
Jaagta tha mai Mohammad(a.s.) ko sula deta tha
Unke bistar par mai beto ko lita deta tha
raah me kata jo aata tha jo hata deta tha
mai tahe dil se mohammad ko dua deta tha
roz is bolte quraan ki ziyarat karna
mera mamool tha is tarha ibadat karna
------------------------------------------------------
aaj ilzaam lagane lage mujhpar bedeen
mai musalmaan na hua laya mai imaan nahi
maine kalma na parha maine namaze na parhi
kufr ki god me imaan bhi palta hai kahi
karke sazish ye lagaya hai nishana mujhpar
mai wo momin hoo.n ke hai kufr ka fatwa jispar
------------------------------------------------------
kya namaze.n mai zamane ko dikha kar parhta
apna ghar chor ke butkhane me jakar parhta
kalma parhna tha to ek ek ko suna kar parhta
aap ke ghar se mai quraan manga kar parhta
mai jo parhta tha wo quraan mere ghar me tha
jis par laya tha mai imaan mere ghar me tha
------------------------------------------------------
deen-o-imaan se fira hota to momin kehte
aapki saf me khara hota to momin kehte
mai nabi ka na hua hota to momin kehte
kufr ke sath raha hota to momin kehte
saath deta na nabi ka to mai momin hota
baap hota na Ali(a.s.) ka to mai momin hota
------------------------------------------------------
Ahl-E-Imaan ke liye baat ye hairat ki hai
Ek kafir ne payambar ki kafalat ki hai
khutba-e-Aqd parhane ki jasarat ki hai
isme meri nahi tauheen shariyat ki hai
lamha-e-fikr hai ye saare zamane ke liye
Koi momin na mila aqd parhane ke liye
------------------------------------------------------
tum jo aae the Mohammad(s.a.w.w.) ki shikayat lekar
teen sao sath khudao.n ki mohabbat lekar
laat-o-uzza ki dil-o-jaan se himayat lekar
mere darwaze par inkaar-e-nabuwat lekar
mere paas aane ki tum sab ko zaroorat kya thi
mai to kafir tha bhala mujhse shikayat kya thi
------------------------------------------------------
Jab Mohammad(s.a.w.w.) ko sataya tha wo din bhool gaye
Qatl karne ka irada tha wo din bhool gaye
dosh par kufr ka saya tha wo din bhool gaye
jab Mohammad(s.a.w.w.) tan-otanha tha wo din bhool gaye
Deen-e-islam ka unwaan bane baithe ho
mere sadqe me musalmaan bane baithe ho
------------------------------------------------------
Tum kisi sahib-e-imaan se shikayat karte
Ya kisi hafiz-e-quraan se shikayat karte
la ilah ke nigehba.n se shikayat karte
mai to kafir tha musalma.n se shikayat karte
muddua ye tha himayat na karu quraa.n ki
aazmayash thi sarasar ye mere imaa.n ki
------------------------------------------------------
Jo baha raahe khuda me wo lahu mera tha
Jo baha deen ki baqa me wo lahu mera tha
jo baha haq ki reza me wo lahu mera tha
Jo baha karbobala me wo lahu mera tha
Roz-e-Ashoora jo loota gaya ghar mera tha
Kund khanjar se jo kata gaya sar mera tha
------------------------------------------------------
Deen-Islam par qurbaan hua Akbar mera
Deen-Islam par qurbaan hua Asghar mera
Ran me pamaal hua qasim--e-muztar mera
dee.n par qurba.n hua Abbas-E-Dilawar mera
Hath katwa diye daman na wafa ka choota
Baad na marne ke bhi darya se na qabza choota
------------------------------------------------------
Shaah ko pahochi jo kashif ye sada-e-Abbas
thaam kar hatho.n se dil bole ke haae Abbas
teri soorat ke liye Khoo.n me nahae Abbas
Hum chale aate hai gar aap na aae Abbas
Thokre khate hue pakde kamar aate hai
Humse aaya to nahi jaata magar aate hai

