By logging in you agree to our Terms and Conditions and Privacy Policy
Hasab nasab hain hoon laasani Mushk o alam hain meri nishani Hai mere shaanon mein bhi Quwwat-e-Yazdani Agar karun darya ko ishara Khaimon mein aa jaye woh sara Mere isharon par chalta hai darya ka pani Lo jaan lo mujh ko, pehchan lo mujh ko Haan main Abbas hoon, Abbas Ayo Hanas, Ayo Hanas Haan main Abbas hoon, haan main Abaas Sun lo yeh ta’aruf mera Main beta hoon Haider ka Saqqa-e-Sakina mujh ko Kehti hai yeh saari duniya Main bazu-e-Sarwar hoon Ghairat ka samandar hoon Khud zaat mein lashkar hoon Ayehnas Ayehnas Jab ghaiz mein waar karunga Aisi yalghaar karunga Ek laash ke do do tukray Phir do ke chaar karunga Mohlat hai sambhal jao Kasrat pe na itrao Mat sher se takrao Salar hoon, Jarrar hoon, Haider hoon main Haan main Abbas hoon, Abbas Main ne jo khat kheench diya hai paar karun to jaanun Mujh se aa kar aankh milao phir main tum ko maanun Sabaq wohi Siffeen ka tum ko phir se yaad dilaun Palat ke dharti, ulat ke darya Tum ko ghaiz dikhaun Yeh tegh yeh khanjar kya hai Bas dekh lo tewar kya hai Pairon se masal doon dharti Nau lakh ka lashkar kya hai Sar tan se uda doonga Mitti mein mila doonga Ek hashr macha doonga Ayehnas Ayehnas haan main Abbas hoon Haan main Abbas Main cheen ke tum se darya Bhar loonga abhi mashkiza Tum dekhte reh jaoge Na rok sako ge rasta Jo keh doon woh karta hoon Kab maut se main darta hoon Har baar yahi kehta hoon Ayehnas Ayehnas haan main Abbas hoon Haan main Abbas Ek aankh mein teer laga tha Shabbir ne jab woh nikala Zaanu pe rakha jab sar ko Ghazi ne kiya yeh nauha Aankhon mein Sakina ka Chehra hai mere Aaqa Ab kaise yeh bolunga Ayo Hanas, haan main Abbas hoon Haan main Abbas Woh sher-e-wafa ka paikar Jab qatl hua darya par Karti thin tarap kar Zainab Yeh bain hi Meesum o Mazhar Ho jaungi jab tanha Tab khoon rulaega Ae bhai tera kehna Ayo Hanas, haan main Abbas hoon Haan main Abbas
We are doing this work to gain virtue from Allah. If you want to contribute then you can only send us latest nauha or qasida lyrics with reciter detail and year on my email address.
Email : mmaitsolutions14@gmail.com