20/06/2026
Akbar humein mar jaane do phir marne ko jaana
Mushkil hai zaeefi mein, jawan lasha uthana
Akbar humein mar jaane do phir marne ko jaana
Phir laut ke aaye gi na maqtal se sawari
Maa ko bara arman tha shaadi ka tumhari
Taboot pe mumkin to nahi sehra sajana
Akbar humein mar jaane do phir marne ko jaana
Khaime se zara door chalo ae mere dilbar
Yeh baat na sun le kahin Zainab meri aakar
Ae laal tera seena hai neezon ka nishana
Akbar humein mar jaane do phir marne ko jaana
Maango na qaza mujh se tarapta hai mera dil
Qismat ki lakeeron ka badalna nahi mushkil
Hum umr barha dein ge zara haath dikhana
Akbar humein mar jaane do phir marne ko jaana
Abbas ka marna hai meri maut ka ailaan
Kuch reham karo meri zaeefi pe meri jaan
Aasan nahi seene se barchee ka chhurana
Akbar humein mar jaane do phir marne ko jaana
Mazloom ki tooti hai kamar aas na toro
Ae la'al mere saamne yun haath na joro
Acha nahi lagta humein har baar batana
Akbar humein mar jaane do phir marne ko jaana
Naiza Dil-e- nazuk mein utarta hua dekhoon,
Mein zinda rahoon aur tumhein marta hua dekhoon
Tum mein nazar aate hain hamesha mujhe Nana
Akbar humein mar jaane do phir marne ko jaana
Utho mere qadmon se ijazat tumhein de ge
Acha chalo hum baat agar maan bhi lein ge
Mushkil hai bohot Saniya-e-Zahra ko manana
Akbar humein mar jaane do phir marne ko jaana
Akbar gaye maqtal mein gire zeen se zameen par
Lashe se "Takallum" yeh kaha sheh ne tarap kar
Thehro abhi kuch der na ho khuld rawana