19/02/2022
Hussain ka rutba
Hussain ka rutba,Hussain ka rutba,Hussain ka rutba
Koi samajh nahi sakta Hussain ka rutba
Hussain ka rutba
Hai anbiya se bhi aala, Hussain ka rutba
Hussain ka rutba
Tamam nabiyon ki aqlain bhi gar khuda dede
Azal say tabeh abad moat bhi na aaye mujhe
Mai phir bhi likh na sakunga,Hussain ka rutba
Hussain ka rutba
The ikhtiyar mohammad mai loh aur qalam
Phir naseeb mai rahib kay khud kiye na raqam
Samajh le ta ke zamana,Hussain ka rutba
Hussain ka rutba
Ali ne beti say ki hogi aakay sargoshi
Kaha hai bhai ko tere yazeed ne baagi
Bata de sani zehra,Hussain ka rutba
Hussain ka rutba
Hai lafziyat ki yeh kesi kesi majburi
Tamam ayatein tehreer ho gayin phir bhi
Abhi bhi baki hai likhna,Hussain ka rutba
Hussain ka rutba
Hussain chahe to hota murda khud zinda
Bohat say log nahi mante yeh baat zara
Habib uth kay batana,Hussain ka rutba
Hussain ka rutba
Har ik suray ka mai tarjuma batata gaya
Usay mai hamd sat walnas tak sunata gaya
Kisi nay puch liya tha, Hussain ka rutba
Hussain ka rutba
Namazi hanp rahay the,ajeeb halat thi
Taweel sajday say sar ko utha kay bolay nabi
Samajh tou agaya hoga,Hussain ka rutba
Hussain ka rutba
Kaha yeh rab nay yaqeen mai badal na jaye guman
Khuda na lagne lage yeh tumhain ay ahle jahan
Sambhal sambhal kay samajhna,Hussain ka rutba
Hussain ka rutba
Kisi nay imla likhaya hai tune likha hai
Teray qalam pay taqallum ataye zehra hai
Wagarna kon likhe ga,Hussain ka rutba