21/06/2026
Inna Lillahe wa inna ilaihe rajeoon-2
Hona to yahi tha , wada to yahi tha-2
Sab bikhar gaye , sab ujad gaye
Hona to yahi tha , wada to yahi tha
Mera wada to yahi tha -2
Inna Lillah-2
Inna Lillahe wa inna ilaihe rajeoon-2
Parwardigar band jiski hai ye sada
de hawsla samhal le mujhko mere khuda
kuch bhi raha na paas mere sab bikhar gaya
sathi koi Husain(a.s.) ka baqi nahi raha
Sab bikhar gaye , sab ujad gaye
Hona to yahi tha , wada to yahi tha
Mera wada to yahi tha -2
Inna Lillah-2
Inna Lillahe wa inna ilaihe rajeoon-2
Haye Aansu Ye Keh Rahe Hai Ke Akbar Kaha Gaya
Gehwara Puchhata Hai Ke Asgar Kaha Gaya
Bazu Wo Mera Saniye Haider Kaha Gaya
Abbas Ke Sath Jo Tha Lashkar Kaha Gaya
Sab bikhar gaye , sab ujad gaye
Hona to yahi tha , wada to yahi tha
Mera wada to yahi tha -2
Inna Lillah-2
Inna Lillahe wa inna ilaihe rajeoon-2
Koi Nahi Raha To Bhala Kya Jiunga Mai
Socha Na Tha Ki Jung Akele Ladunga Mai
Kaise Haram Ki Tanha Hifazat Karunga Mai
Kaise Namaz-e-Asr Akele Padhunga Mai
Sab bikhar gaye , sab ujad gaye
Hona to yahi tha , wada to yahi tha
Mera wada to yahi tha -2
Inna Lillah-2
Inna Lillahe wa inna ilaihe rajeoon-2
Aisa Hu.n Be Watan Ke Ab Apna Nahi Koi
Ghere Hue Hai Charo Taraf Se Mujhe Shaqi
Haye Ye Beqasi Meri Haye Ye Bebasi
Mai Ek Shab Bhi Chain Se Soya Nahi Kabhi
Sab bikhar gaye , sab ujad gaye
Hona to yahi tha , wada to yahi tha
Mera wada to yahi tha -2
Inna Lillah-2
Inna Lillahe wa inna ilaihe rajeoon-2
Mana Ke Loot Gaya Mera Ghar Bar Ae Khuda
Lekin Tere Nabi Ke Nawase Ki Hai Dua
Mai Iss Tarah Se Haq Ke Shahadat Karu Ada
Zinda Rahe Dilo Me Hamesha Ye Karbala
Sab bikhar gaye , sab ujad gaye
Hona to yahi tha , wada to yahi tha
Mera wada to yahi tha -2
Inna Lillah-2
Inna Lillahe wa inna ilaihe rajeoon-2