Nayyar Jalalpuri Ashaar on Mola Ali(a.s.)
25/02/2022
100 eido.n par ek 13 rajab ghalib hai
hai jaan Ali(a.s.) aur alam talib hai
deewaar ne dar ho ke laga di takhti
ye bait-e- Ali(a.s.) ibne abi talib hai
Kya martaba qambar ke shehenshah ka hai
Jibreel bhi darban isi dargah ka hai
hai arz-o-sama madhe Ali(a.s.) ke aoraaq
aor kaba dastakhat yadullah ka hai
Shafat ke safine par Ali(a.s.) ka naam likha hai
Mohammad ke madine par Ali(a.s.) ka naam likha hai
Sulaima ki hukumat ko zawal aa hi nahi sakta
angoothi ke nagine pa Ali(a.s.) likha hai
Khuda hi Jane Ali(a.s.) teri azmato ki had
mile kisi ko na aise pisar na aise Jad
Hai tere baap Abutalib(a.s.) Hasan(a.s.) Husain (a.s.) Aulad
Nahi zaat teri Lam Yalid-walam-yolad