Nayyar Jalalpuri Ashaar on Mola Ali(a.s.) rubai
25/02/2022
Suraj ungli ke ishare me nahi aa sakta
ye khayal aap ke bare me nahi aa sakta
paak shajro me safar karta hai ishqe Haider
ye kisi nasl ke maare me nahi aa sakta.
bech aaega wo mitti se bana kar jannat
kabhi behlol khasare me nahi aa sakta
tere ek nuqte me Quraan to aa sakta hai
tu jo faile kisi paare me nahi aa sakta
janashi chand ko karta hai hamesha sooraj
ye sharaf ek bhi taare me nahi sakta
has ke Haider ke fazael ne samandar se kaha
tu mere ek kanare me nahi aa sakta
ba khuda nara-e-Haider me asar hai jitna
kisi khanjar kisi aare me nahi aa sakta
jalwa-e-ru-e-Ali(a.s.) qabr se pehle Nayyar
dil me aata hai nazare me nahi aa sakta