Abbas qatl ho gaye mehsar hua bapa
06/08/2022
Abbas qatl ho gaye mehsar hua bapa
Bekas Hussain ho gaye bhai hua juda
Ab khatm hai ladayi alam dar mar gaya
dauore hussain khete hue haye kiya hua
pouche jo girte padte to dekha ye haal-E-zar
shaane qalm hai sher hai zakhmi pada hua
Mashq-E-sakina khoon se tar padi hui
patka bhi hai alam ka lahoo mein bhara hua
Bole lipat ke ghaazi se kch to karo kalaam
kiya haal ho gaya mere bhai ye kya hua
kyun aankh khol ke hame tum dekhte nahi
abbas bole teer hai moula laga hua
pyaasi sakina se mein bhout sharam sar hu
afsoos hai ke wada na mujh se wafa hua
laye hussain mashq-O-alam khaimagah mein
chillai.n bibiyaa.n ke alamdar kya hua