Ali(as) ki laadli hai khwahar-E-Jarrar hai Zainab(sa)
05/03/2023
Ali(as) ki laadli hai khwahar-E-Jarrar hai Zainab(sa)
Husaini Qafele ki qafela salar hai Zainab(sa)
Sadaaati hai ye karbo bala ke zarre zarre se
Shaheedo.n chain se sote raho Bedaar hai Zainab(sa)
Sitam ke sheher me toofaan ban ke aai hai
Ye deen-E-Haq ki nigehbaan ban ke aai hai
Yazeed tu ye samajhta hai qaid hai Zainab(sa)
Ye sheher-E-Sham me Sultaan ban ke aai hai
roz-E-aashoora ka pasmanzar guzar jaane ke baad
Karbala me pyaas ke shole bikhar jaane ke baad
berida Zainab(sa) kaha thi khud rida se pooch lo
Thi rida khud berida sar se utar jaane ke baad