Ali Akbar(a.s.) teri aawaz - Rizwan Urfi Lyrics
16/04/2022
Ek aamade khursheed munawwar teri aawaz
pat khol diye subh ne sun kar teri aawaz
Mai jab bhi guzarta hu sukoote shabe hur se
sunta hu azane Ali Akbar(a.s.) teri aawaz
pyaaso ke liye mashq-e-sakeena(a.s.) ke ufaq se
girta hua ek chashmae kausar teri aawaz
Ek pyasa musafir hai atash-goshiye insaan
Sehra-e-sama'at me samandar teri aawaz
Shayad mere ehsas me rehta hai koi Hur(a.s.)
goonj uthti hai is dasht me Akbar(a.s.) teri aawaz
Jabtak mai raha Hur(a.s.) ke khayalo.n ke safar me
aati rahi kaano me barabar teri aawaz
wo Hur(a.s.) ke sharabe dare shabbir ka pyasa
uspar ye khanakte hue saghar teri aawaz
pakeezgi aisi hai ke Maryam(a.s.) bhi kare rashk
Jaise sare Zainab(a.s.) ki ho chadar teri aawaz
tu bolne lagta hai to tham jaati hai duniya
Daood(a.s.) bhi sunte hai theher kar teri aawaz
Rizwan Urfi