19/09/2021
Tashnagi mashq-o-alam bali sakina abbas
Hai tere naam say mansoob yeh charcha abbas
Sabro eesar-e-wafa josh-e-alamdar-e-hussain
Sher-e-jarrar hama wakt hai ghumkhwar-e-hussain
Tashnalab hotay hue surat-e-dariya abbas
Hukme shabbir ki zanjeer thi pairoo.n mai pari
Bhai ko aaqa kaha aap nay ay ibn-e-ali
Bawafa koi nahi aap kay jaisa abbas
Kut gaye haath chidi mashk-e-sakina afsoos
Tar hua khoon se alam, nehr pay aaqa afsoos
Kyo na ho noha kuna saaniye zehra abbas
Rah tak ti hai sakina dar-e-khaima pe khari
Tashnalab bachchi pe kaisi hai ye aafat ki ghari
Khud ko behlati hai de de ke dilasa abbas
Gir gayi sar say rida, zainab-e-muztar ki utho
Lash uth thi nahi shabbir say akbar ki utho
Aao de do zara sarwar ko sahara abbas
Maarta Bali Sakina ko bhala shimr-e-layi
Tang ho jaati, jo tum hote sitamgar pe zamee.n
Bhagne ko bhi na milta use rasta Abbas
Aag khaimo.n main lagi ahle haram qaid hue
Bekajava su-e-zindaan laeen le ke chale
Saniye zehra nay hasrat say pukara abbas
Hogaya tukre badan ibn-e-hassan ka dekho
Marhala aagaya bazoo mai rasan ka dekho
Khaid honay ko hai shabbir ka kunba abbas
Baat Khatoon-E-Qayamat na kabhi taalengi
Hashr ki dhoop na rehaan par aane dengi
Sirf Halka sa jo karenge ishara Abbas.
Tashnagi mashq-o-alam bali sakina abbas