Aaj shahe bekas ki aakhri sawaari hai
11/07/2026
Aaj shahe bekas ki aakhri sawaari hai
Ghode ko mangaaya hai, kooch ki tayaari hai
Mar chuke rafiqo-yaar, ab isi ki baari hai
Ahlebait-e-Ismat mein shor, aah-o-zaari hai
Peet sar ye kehte hain, ghar Nabi ka lutta hai
Fatima ke pyaare ka humse saaya chhootta hai
----------------------------------------------
Kisse hum karein fariyaad, Mustafa nahin jeete
Kaun daad de apni, Martuza nahin jeete
Fatima nahin jeetiin, Mustafa nahin jeete
Jinka haaye tha humko, aasra nahin jeete
Ab madad gareebon ki kaun karne wala hai
Lawatan se qismat ne dushmanon mein daala hai
----------------------------------------------
Khoob Koofiyon ne ki yaan hamari mehmani
Baawajood dariya ke, band kar diya paani
Aale-Mustafa ki kya thi ye martabadari
Ghamkhwaron ko khilwai khanjaron ki gurrani
Qasde kushtane Shabbir jo bhi hai laiin karte
Uske khoon-e-naahaq se darguzar nahin karte
----------------------------------------------
Jaante hain Ahmad ka pyaara ye nawasa hai
Beta hai Meer-e-Kausar ka, teen din se pyaasa hai
Furqate Azeeza mein jeene se niraasha hai
Is gareeb ka koi, kya nahin shanasa hai
Kaanp jaati Sehra par garmi si hawa lagti
Ab koi nahin Haye Haye bolta Khuda ab bhi
----------------------------------------------
Baraaha Mohammad ke kandhe par chadha dekha
Sher-e-Haq ke seene se sabne hai laga dekha
Aksaron ne hoga iska martaba dekha
Tashna-lab musafir ka ab gunaah kya dekha
Koofiyon ke pai dar pai, khat talab ke aa pahunche
Humne kya buraai ki, jo likhe pe aa pahunche
----------------------------------------------
Aakhersh pehan poshaak Murtaza ka wo jaaya
Ahle-Bait se ruksat hone jis ghadi aaya
Pehle sab se Zainab ko dekhkar ye farmaaya
Roti kyu ho, zaanu par sar ko kyu hai nivdaya
Sar kataane jaata hai ran mein bewatan bhai
Aao ab gale millo, fir kahan behan-bhai
----------------------------------------------
Bhai se ye sun Zainab dahaade maarti aayi
Sar se paanv tak pehle le balaayein maan jaayi
Daal baahen gardan mein khoob royi dukh paayi
Maatha rakhke kandhe paa bhai ke ye chillayi
Haaye bhai sahab tum humko chhode jaate ho
Fatema ke ghar ko kyun khaak mein milaate ho
----------------------------------------------
Aaj tak juda tumse main na tha hua behna
Par hai ab bichadwati bhai ki qaza behna
Tumse chhootne ka hai mujhko gham bada behna
Par nahin hai qismat se zor kuch mera behna
Mujhse chhootke jannat mein mera qaafila pahuncha
Sabko hogi hairani, main agar na ja pahuncha

