Husain jabake chale baade do pahar ran ko
11/07/2026
Husain jabake chale baade do pahar ran ko
Na tha koi ke jo thaame rakabe tausan ko
Sakeena pakade khadee theen abaa ke daaman ko
Husain chupke khade the jhukaaye gardan ko
Na aasara tha koee shaahe karabalaee ko
Faqat bahan ne kiya tha savaar bhaee ko
----------------------------------------
Dare khayaam pa ahale haram bilakte the
Zameen pa Aabide beemaar sar patakhte the
Bahan jo rotee thee mud mud ke shaah takte the
Zabaan jo sookhee thee kuchh baat kar na sakte the
Pukaarte the haram shaahe naamadaar chale
Husain marne chale aur hamko maar chale
----------------------------------------
Koee ye kehtee thee ro ro ke Ya Ali Faryaad
Tumhaaree betiyaan jangal main hotee hai barbaad
Koee malool koee noha gar koee nashaad
Kahee zameen pa Baqar hai aur kahee Sajjad
Falak pa gul tha ke roohe batool rotee hai
Sakina chaar baras kee yateem hotee hai
----------------------------------------
Ye fikr kar ke lage rone Sayyad-e-abrar
Tab aayi kaan mein aawaz-e-Ahmad-e-mukhtaar
Husain teri ghareebi pa ye Rasool nisar
Agar che pyaas se chal sakta hai nahee rahwar
Pyada pah tarfe qatlgah jao tum
Hamari ummat-e-aasee ko baqshvao tum
----------------------------------------
Agar che aap ke paaon mein hai nahee taaqat
Ke teen roz se hai pyaas kee baree shiddat
Lage hai zakhm badan par tabah hai halat
Magar ye jaan lo wajib hai bakhshish-e-ummat
Na Qatl hone mein takheer tum karo beta
Hamare dosh to hazir hai baith lo beta
----------------------------------------
Husain khoob sa roye Nabee ka sunke kalaam
Kaha na keejiye tashwish Yaa Rasool-e-Anaam
Tumharee ummat-e-aasee pa sadqe ho ye ghulaam
Ye kehke ghode se kehne lage ba azm tamaam
Zyada mujhse tujhe apnee jaan pyaree hai
Utha qadam ke meree aakhiree sawaaree hai
----------------------------------------
Mai kya kahunga jo puchegee hashr mein Zehra
Ke mere bete ko kyon leke Qatl gaah gaya
Aur is alam ke siwa aur ye alam hai Aaqa
Tumharee walida sahab se main kahunga kya
Uthaun paun ko kyun kar dil iztaraab mein hai
Sakina aapkee liptee huee rakaab mein hai
----------------------------------------
Husain baith gaye khaak par bachashme aab
Liya Sakina ko godee mein badile betaab
Kaha ke roktee ho kyu mujhe bataao shitaab
Rakaab maut ne pakdee hai chhor do to rakaab
Gala bandhe to bandhe shukr-e-Kibriyaa karna
Sitam uthana na ummat ko bad dua karna
----------------------------------------
Bitha ke betee ko khaime mein badil-e-nakaam
Hue rawaana taraf qatl gah ko shah-e-Anaam
Qareeb lasha-e-Akbar phunch ke thehre imaam
Khdng Sheh pa lagane laga woh lashkar-e-shaam
Batool rotee thee par ashkiyaa na darte the
sawab jaan ke Sayyad ko qatl karte the
----------------------------------------
Sakina khaime kee diwree pa thee khadee us aan
Pukaree ro ro ke ulfat pa aap kee qurbaan
Hai lab pa naam mera niklee tan se meree jaan
bawaqt zibha bhee bhulaa na tum ko mera dhyaan
Pukare Sheh ke yateemee pa teree rota hu
Khuda ko sonpa tumhein alwida hota hu

