11/07/2026
Kal Shab Ko Khuwab mai Aey Mere Dor-e-Pur Fitan,
Dekhi Yazeediyat ke Qabeelay Kee ek Dulhan,
Aankhon Mai Be Hayai ke Kajal Kee Doriyaa'n,
Maatha Munafiqat Ki Tapish Se Shikan Shikan.
Gardan Mai Tauq-e-Lanat e Parwardigaar tha,
Tan Par Jahan Bhar Kee Hiqaarat Ka Perahan.
Chaspaa'n Jabi'n Pe Aal-e-Muhammad Ki Dushmani,
Paaon Mai Dollaro Ki Jhana Jhan Jhanan Jhanan.
Nas Nas Mai Deen-e-Haq Se Baghawat Bhari Huyi
Sanson Mai Gard-e-Raah e Saqifa Se thee Ghutan.
Lagti thi Door Se Abu SufiyaaN Kee Kaneez,
Seencha Gaya Tha Shola e Namrood Se Badan.
Tohmat Nabi Ke Dee'n Pe Lagana Tha Mashghala,
Islaam Kaa Mazaaq Udaata Huya Sukhan.
Guzri Jo Paas Se Wo Abu JehaL Ki Bahoo
Maine Kaha Ye Kon Hai Bad'Kar o Bad'Chalan.
Aayi Sada ke Iske Muqabil Karo Jihaad,
Dekho Ye Hai SIPAH E SAHABA Ki Anjuman.
Ye Dushaman-e-Hussain O Udo-e-Shaheed Hai,
Is Ki Rago Mai Khoo'n Nahi Rizq-e-Yazeed Hai.
Go Khuwaab Thaa Magar Wo Fiza Aur Dhul Gayi
Socha ke Us Se Baat Karu, Aankh Khul Gayi.