Koi Puche Yateem Zainab Se
09/03/2026
Kis tarah gham saha yateemi ka koi puche yateem Zainab se Ye pidar ki judai ka sadma koi puche yateem Zainab se Maut ne bhi ajab sitam dhaya shehzadi ke dil ko tadpaya Bees Ramzan ko lut gayi Zainab uth gaya sar se baap ka saaya Kaise andher ho gayi duniya koi puche yateem Zainab se Zaigam-e-Kirdgar ko mara sahiba-Zulfiqar ko mara Ibne Muljim laee’n ne sajde mein be-khata rozadar ko mara Baap ko kaise khoon mein tar dekha koi puche yateem Zainab se Jab Ali dard se machalte thae apne munh se lahoo ugalte thae Hichkiyon ki shadeed eeza se barha karwatein badalte thae Kitna tadpa ke unka dam nikla koi puche yateem Zainab se Jab janaza Ali ka utha tha ek kohram ghar mein barpa tha Jab kafan odh kar chale baba gham ki shiddat se dil tadapta tha Kaise deedar-e-aakhri dekha koi puche yateem Zainab se Jaan ranjo alam se khoti thi apna munh khoone dil se dhoti thi Apne baba ko alvida keh kar bhaiyon se lipat ke roti thi Baap ko kho ke kitna dil tadpa koi puche yateem Zainab se Baap ki pyari shafqatein khokar baap ke saaye se juda hokar Baap ke bin jo Eid aayegi Eid ka din katega ro ro kar Kis qadar yaad aayenge baba koi puche yateem Zainab se Khoon ke ashk royegi Zainab jaan aziyat se khoyegi Zainab Dekh kar apne ghar ki veerani ab na raaton ko soyegi Zainab Kitna dushwar ho gaya jeena koi puche yateem Zainab se Aaj Sher-e-Jali ka matam hai aaj Haq ke Wali ka matam hai Har taraf shor hai bapa Arif aaj Maula Ali ka matam hai Kya qayamat hai chaar soo barpa koi puche yateem Zainab se Hindi Lyrics- किस तरह ग़म सहा यही का कोई पूछे या ज़ैनब से ये पिदर की जुदाई का सदमा कोई पूछे यतीम ज़ैनब से मौत ने भी अजब सितम ढाया शहज़ादी के दिल को तड़पाया बीस रमज़ान को लुट गई ज़ैनब उठ गया सर से बाप का साया कैसे अंधेर हो गई दुनिया कोई पूछे यतीम ज़ैनब से ज़ैग़म-ए-किर्दगार को मारा साहिबा-ज़ुल्फ़िक़ार को मारा इब्ने मुल्जिम laee’n ने सजदे में बे-ख़ता रोज़ादार को मारा बाप को कैसे ख़ून में तर देखा कोई पूछे यतीम ज़ैनब से जब अली दर्द से मचलते थे अपने मुँह से लहू उगलते थे हिचकियों की शदीद ईज़ा से बारहा करवटें बदले थे कितना तड़पा के उनका दम निकला कोई पूछे यतीम ज़ैनब से जब जनाज़ा अली का उठा था एक कोहराम घर में बरपा था जब कफ़न ओड़ कर चले बाबा ग़म की शिद्दत से दिल तड़पता था कैसे दीदारे आख़री देखा कोई पूछे यतीम ज़ैनब से जान रंजो अलम से खोती थी अपना मुँह ख़ूने दिल से धोती थी अपने बाबा को अलविदा कह कर भाईयों से लिपट के रोती थी बाप को खो के कितना दिल तड़पा कोई पूछे यतीम ज़ैनब से बाप की प्यारी शफ़क़तें खोकर बाप के साये से जुदा होकर बाप के बिन जो ईद आयेगी ईद का दिन कटेगा रो आरके कर किस क़दर याद आयेंगे बाबा कोई पूछे यतीम ज़ैनब से ख़ून के अश्क रोएगी ज़ैनब जाँ अज़ियत से खोएगी ज़ैनब देखकर अपने घर की वीरानी अब ना रातों को सोएगी ज़ैनब कितना दुश्वार हो गया जीना कोई पूछे यतीम ज़ैनब से आज शेरे जली का मातम है आज हक़ के वली का मातम है हर तरफ़ शोर है बपा आरिफ़ आज मौला अली का मातम है क्या क़यामत है चार सू बरपा कोई पूछे यतीम जैनब से
-- Aarif Baghrvi sb

