Kamar Ka Dard (Back Pain)
23/10/2026
Hazrat Muhammad Mustafa (S.a.w.w) Farmate Hai,
Haleem Khao,
Ye Kamar Ke Dard (Back-Pain) Ko Khatm Karta Hai. (Haleem Me Gehu (Wheat) Aur Jau (Barley) Daalna Compulsory Hai)
Imam Musa Kazim (a.s) Farmate Hai,
Aik Mutthi Methi (Fenugreek Seeds) Aur Aik Mutthi Anjeer (Fig) Ko 5 Glass Pani Me Daal Kar Ubaale Aur Phir Chhaan Kar Mareez Ko Den, Ye Kamar Dard (Backpain), Ghutne Ka Dard (Knee Pain) Aur Balgam (Phlegm) Ka Ilaaj Hai.
Ise Poore Din Me Thoda Thoda Kar Ke Piyen,
1 Din Chhodh Kar 8 Din Tak Piyen.
Imam Ali Reza (a.s) Farmate He,
Chane (Chickpeas) Khao, Ye Kamar Ke Dard (Back-Pain) Ko Khatm Karte He.
Reference : Tibb e Ahlebait (A.m.s)