Methi (Fenugreek Seeds) Se Ilaaj
23/10/2026
Hazrat Muhammad Mustafa (S.a.w.w) Farmate Hai,
Methi (Fenugreek Seeds) Se Ilaaj Karo, Kyuki Agar Log Isse Ilaaj Ke Faayde Ko Jaan Le To Ussi Se Apna Ilaaj (Treatment) Karenge, Fir Usse Sone (Gold) Ke Daam Par Hi kyu Na Kharidna Padhe.
Imam Musa Kazim (a.s.) Farmate He,
Aik Mutthi Methi (Fenugreek Seeds) Aur Ek Mutthi Anjeer (Fig) Ko 5 Glass Paani Me Daal Kar Ubaale Aur Phir Chhaan Kar Paani Mareez Ko Den, Ye Kamar Dard (Backpain), Ghutne Ka Dard (Knee Pain) Aur Balgam (Phlegm/Mucus) Ka Ilaaj He.
Ise Poore Din Me Thoda Thoda Kar Ke Piyen,
Aur 1 Din Chhod Kar Kul 8 Din Tak Ye Amal Anjam Den.
Tibb-e-Ahlebait (a.m.s.)