09/07/2026
Abbas ghaiz meiN thay jise paa gayi nazar
Dekha ise to badh ke use khaa gayi nazar
Abbas ghaiz meiN thay jise paa gayi nazar
Nahr e Furat par na taher payi fauj e shaam
Abbas ke Jamal se lehra gayi nazar
Abbas ghaiz meiN thay jise paa gayi nazar
Patthar ko mom kar gayiN Hayder ki ungliyaN
Khaybar se Murtaza ki jo takra gayi nazar
Abbas ghaiz meiN thay jise paa gayi nazar
Khaibar mein sab samajhte thay paayeN ge ham Alam
Lekin Ali ko dekh ke sharma gayi nazar
Abbas ghaiz meiN thay jise paa gayi nazar
Gaiz o ghazab mein aa gaya Marhab diler tha
Dekha Ali ka chhera to tharrah gayi nazar
Abbas ghaiz meiN thay jise paa gayi nazar
Eik Aaftab haatoN par rakkhe haiN aaftaab
Maidaan tak Ghadeer ke pauhcha gayi nazar
Abbas ghaiz meiN thay jise paa gayi nazar
Zor e jalaal Hazrat e Qasim ko dekheyea
Arzaq ko khako khoon meiN nehla gayi nazar
Abbas ghaiz meiN thay jise paa gayi nazar
Saqqa ne dhoond dhoond ke bijlee girayi hai
Saahil pa dushmanoN ko Jahan paa gayi nazar
Abbas ghaiz meiN thay jise paa gayi nazar
Hurr ki khata jo bakshi Shah e DeeN Panah ne
Dil baagh baagh ho gaya itra gayi nazar
Abbas ghaiz meiN thay jise paa gayi nazar
Asghar ne aakh kholi To HaatoN par Shah ke
PhooloN ki tarah dhoop meiN kumbhla gayi nazar
Abbas ghaiz meiN thay jise paa gayi nazar
Salik* bana ke raaste dunia se khuld tak
Kausar ke jam tak mujhe paucha gayi nazar
Abbas ghaiz meiN thay jise paa gayi nazar
___________________________________
Kalaam: Janab Salik Lucknowi
Saheb e Bayaaz: Janab Zargham Haider Saheb
Anjuman: Kazmia Abida, Lucknow