By logging in you agree to our Terms and Conditions and Privacy Policy
Jaate Hain Hum Madinay Kubra Yeh Boli Ro Kar
Karbala, Karbala, Haye Karbala, Kubra Yeh Boli Ro Kar
Zindaan se choot kar, ghar jaate hain hum Madinay
Karbala, Karbala, Haye Karbala, Kubra Yeh Boli Ro Kar
Baba ka paas karna, Asghar ka dhyaan rakhna
Tere hawale ghar bhar, jaate hain hum Madinay
Karbala, Karbala, Haye Karbala, Kubra Yeh Boli Ro Kar
Shaana zara hila de Ammu ko ab jaga de
Kah de yeh koi jaakar, jaate hain hum Madinay
Karbala, Karbala, Haye Karbala, Kubra Yeh Boli Ro Kar
Maidan se uth ke aao, soorat zara dikhaoo
Ay Bhaijaan Akbar jaate hain hum Madinay
Karbala, Karbala, Haye Karbala, Kubra Yeh Boli Ro Kar
Jhoola isse jhoolana. Lori isse sunana
Chouke jo Shab ko Asghar jaate hain hum Madinay
Karbala, Karbala, Haye Karbala, Kubra Yeh Bole Ro Kar
Who chadaroon ka chhinna, who khaima-khaima jalna
Le kar yeh saare manzar, jaate hain hum Madinay
Karbala, Karbala, Haye Karbala, Kubra Yeh Boli Ro Kar
Mahshar bapa tah ban mein, Barchi chali thi rann mein
Hum-Shakl-e-Mustafa par, jaate hain hum Madinay
Karbala, Karbala, Haye Karbala, Kubra Yeh Boli Ro Kar
Thanda Alam hua hai, Khoon-e-Ali baha hai
Teaghey chali Chacha par, jaate hain hum Madinay
Karbala, Karbala, Haye Karbala, Kubra Yeh Boli Ro Kar
Zindaan mein soo rahi, khamosh ho gayi hai
Lutwa kar apne gauhar, jaate hain hum Madinay
Karbala, Karbala, Haye Karbala, Kubra Yeh Boli Ro Kar
Kangna kalai mein tha, badla naseeb kaisa
Randsara ab pahen kar, jaate hain hum madiney
Karbala, Karbala, haye Karbala, Kubra yeh boliN ro kar
Jangal tera basa kar, tere zameen pa aa kar
Sabne baba bana ghar, jaate hain hum madiney
Karbala, Karbala, haye Karbala, Kubra yeh boliN ro kar
Jalti zameen par haye-haye, Baba tadap rahe thay
Chalta tha kund khanjar, jaate hain hum madiney
Karbala, Karbala, haye Karbala, Kubra yeh boliN ro kar
Uttho zara Sakeena, ZindaN mein boli Kubra
AasooN baha baha kar, jaate hain hum madiney
Karbala, Karbala, haye Karbala, Kubra yeh boliN ro kar
Mahir* miyan ne sehra Kubra ka tha yeh nauha
Teri zameen basa kar, jaate hain hum Madinay
Karbala, Karbala, Haye Karbala, Kubra Yeh Boli Ro Kar
__________________________________
Poet: Janab Mahir Lakhnavi
Anjuman: Kazmia Abida - Lucknow
Saheb e Bayaaz: Janab Raees Hasan Saheb (Raeso Bhai)
We are doing this work to gain virtue from Allah. If you want to contribute then you can only send us latest nauha or qasida lyrics with reciter detail and year on my email address.
Email : mmaitsolutions14@gmail.com