09/07/2026
Neend Turbat meiN aayegi kyuNkar
Kah rahiN thiN Rabab ro ro kar
Loot kar hum ko jaa chuka lashkar
Chah gaya hai sakoot sahera par
Dil hilata hai asr ka manzar
Neend Turbat meiN aayegi kyuNkar
Aao goodi meiN soo raho Asghar
Nannha dil kaise chhain paye ga
Kaun jhoola tumhe jhulaye ga
Tumko Maa ka khayaal aaye ga
Hoo ka aalam bohut daraye ga
Neend Turbat meiN aayegi kyuNkar
Dil ki raaheN talaash kartiN haiN
Tumko aakheN talaash kartiN haiN
Sard aaheN talaash kartiN haiN
Meri BaaheN talaash kartiN haiN
Neend Turbat meiN aayegi kyuNkar
Shah ne markad kahaN banaya hai
Chand Mera kahan chupaya hai
Tum se Jangal kahan basaya hai
Haye Tumko kahaN sulaya hai
Neend Turbat meiN aayegi kyuNkar
Gham ki duniya na yaad aayi gi
Kya tumhe Maa na yaad aaye gi
Meri mamta na yaad aayegi
Kya Sakeena na yaad aaye gi
Neend Turbat meiN aayegi kyuNkar
Kaise dekhooN yeh qabr ka manzar
WahaN takiya hai aur na hai bistar
Wahan PhupiyaN haiN aur na hai Khawar
Wahan jhoola hai aur na hai Madar
Neend Turbat meiN aayegi kyuNkar
Bada aaraam Mamta de gi
Phaye zakhmoN pe bhi laga di gi
Doodh utra hua pila de gi
LooriyaN de ke Maa sula de gi
Neend Turbat meiN aayegi kyuNkar
Khoon rooteN haiN dil ke sab chhale
Ho kahaN meri mannatoN wale
Do sada mujhko naaz ke paalo
Thay yeh Mahir* Rabaab ke naale
Neend Turbat meiN aayegi kyuNkar
Aao goodi meiN soo raho Asghar
_______________________________
Kalam: Janab Mahir Lucknowi Saheb
Anjuman: Kazmia Abdia, Lucknow