Aankho'n mein Aansuo'n ka Qabeela Samet ke
22/09/2021
Aankho'n mein Aansuo'n ka Qabeela Samet ke
Baitha hoon farsh e gham pa main Dariya Samet ke
Suraj se bhi siwa hai yeh Tanveer e Karbala
Laaye hain Shaah(as) kitna Ujala samet ke...
Jannat ye kah rahi hai Farishto'n se arsh par
Le aao Karbala se woh Sahra Samet ke...
Nazrein jo ki'n Furaat ki Janib Diler ne
Bhaagi hai Fauj ghaat se pahra samet ke
Aaya Idhar Aza'n mein wilayet ka tazkirah
Bhaaga udhar Nifaaq musalla samet ke...