22/09/2021
Misra e Tarah : "Ek pal mein Shae(as) ne Hurr ka muqaddar bana diya.."
Aankho'n ko seep Ashk ko Gauhar Bana diya
Chehre ko Shae(as) ke gham ne samandar bana diya
Sab Gulshano'n ko bha gayee Besheer(as) ki Hansi
Kalio'n ne khil ke chehra e Asghar(as) bana diya
Khainchi jo barh ke Sher ne Sahra mein ek lakeer
Aada Samajh gaye Khat e Mahshar bana diyaa
Inke liye nahi hain Tan o Sar ka faasla
Nok e Sina ko Shaah(as) ne Mimbar bana diya
Abid(as) ne aa ke Baiyat e Fasiq ko Shaam mein
Darbar se nikal ke beghar bana diya
Darti rahegi jis se hamesha Yazeediyat
Zainab(sa) ne Aansuo'n ko woh Lashkar bana diya
Fitrus bata raha hai Farishto'n se Arsh par
Ek pal mein Shae(as) ne Hurr ka muqaddar bana diya
Chehre pa mal ke Shaah(as) ne Besheer(as) ka Lahu
Asghar(as) ko apne Qad ke barabar bana diya
Lohe ki Shaan barh gayee Matam ke Faiz se
Zanjeer o Qama ne use zewar bana diya